Janamdin Mubarak Ho :)

Kuch baatein kehna chahta tha,
Kuch vaade yaad thi, kuch yaad dilana chahta tha,
Tum ache hi hoge, khud ko hamesa ye viswas dilvana chahta tha,
Apna khayal rakhna, ye paigam tumhe hamesa sunna chahta tha.

Aj bhi lagta hai, jaise tum yehi ho,
Saari galtiyaan to meri thi, tum hamesa ki tarah sahi ho,
Shayad ab toh yaad bhi nahi aate honge hum tumhe, chahe kitni bhi jaruri ho,
Hamesa kush rehna, hum nahi toh kya hua, ek awaz dena, chahe kitni bhi duri ho :)

Kosish ki bhulane ki, tumhe galat batane ki,
Logo ne samjhaya ki tum galat thi aur mai sahi, unhone socha tumse nafrat karvane ki,
Aj bhi tumhe yaad kar, aakhe nam ho jati hai, kya jarurat hai ye bhi jatane ki ?
Mujhe laga tha tum nahi jaogi, logo ki toh aadat hoti hai satane ki.

Janamdin mubarak ho tumhe, hamesa kush rehna,
Log toh aayenge jayenge, unka kaam hai kehna,
Tumhari masumiyat aur sachai, yehi hai anmol gehna,
Dusro ko kush rakhne ke liye, apni khushiyaan aur ummedein kabhi mat sehna.

"Tumhe yaad na karke hamesa yaad karta hu,
Bikhre hue dil se ye fariyad karta hu,
Kush rehna mere yaar, chahe jaha bhi hai tu,
Tera milna, meri jeene ka jariya bana, uss mulaqaat ko abaad karta hu..."
- Michael Shivang

Comments

Popular posts from this blog

No Strings Attached 🤗❤️🥀

Bachi ka Janamdin : Revisited