Akela Ho Gaya Mai - Meri Rachna
Jab bhi apni kidhki se,
Kahi dur,
Ek udhta jahaz dekhta hu,
Dua karta hu, ye mera sandesh le jaye,
Ghar par saare log thik hai na?
Aate waqt vo puch aaye.
Baate kafi hai Dil me,
Keh nahi sakta sabhi,
Log kafi hai aas paas mere, apna koi nahi,
Akela ho gaya hu kafi, bus yaadein hai yehi.
Meri dua hai, sabhi ko, aap sabhi kush rahe,
Jab yaad karu Mai aapko, aap bhi ek paigam bheje,
Duri hai jarur, aur intezar bhi kafi hai,
Bhul nahi Jana Kahi, uske alawa har baat ki maafi hai,
Man karta hai, kabhi ghum aau apne Desh,
Apno se dur reh kar, har mukamal me bhi barbadi hai.
Bhej Raha hu dua phir se aaj,
Mera paigam mile toh batana,
Khayal rakhna aap sab apna,
Har pal hasi kushi me bitana,
Arey samay ka kya hai, usko toh kat hi hai jana,
Har Roz mile na mile hum, mere duayon ka jawab jarur bhejvana...
- Michael Shivang
Comments
Post a Comment